Thursday, November 25, 2010
LETTER
MERI ZINDAGI MEIN AIK SAKHSIYAT AESI HAI.JO MUJHE PEHLE BUHUT PASAND THI AUR UB NAPSAND HAI.IS KI SUB SE BRI KHAMI YE HAI WO DOSRO KI DIL AZARI KERTI HAI IS BAAT SE WO BAKHUBI WAQIF HAI MAGER IS NA KABHI IS PE KABOO PANE KI KOSHIH NAHI KI MERA KHAYAL THA K WOH DIL KI BURI NAHI HAI SIRIF ZABAN KI BURI HAI MAGER MERA YE KHAYAL US NE GALAT SABIT KER DIYA SHYED UB HAMRI DOSTI KABHI PEHLE JAISI NAHI RAHE GI. KHUBI AUR KHAMI HAR INSAN MEIN HOTI HAI.MAGER KUCH LOG APNI KHUBI KO KHAMI BANA DETE HAIN.WO BUHUT KHAYAL RAKHNE WALI HAI HUS MUKH HAI MAGER IS KE KARVE ALFAZ K AAGE US KI KHOOBI KHAMI LAGTI HAI.WO DUSRI LARKIYO K MUQABLE MEIN HAR CHEEZ MEIN AAGE HAI. ZAHEEN HAI .USE ACHE LIBAS KA ZOQ HAI.MAGER JUB KISI GHAR KE FARD SE BAAT KERTI HAI TO BAAT KAM KERTI HAI LARTI ZIYADA HAI.USKA ANDAZ-E-GHUFTUGU BUHUT SAKHT AUR GHUSILA HAI. AUR WAHI LARKI JUB BAHIR WALO SE BAAT KERTI HAI TO US KE MOU SE PHOOL JHARTE HAIN.AUR ANDAZ GHUFTUGU BUHUT NARAM HOTA HAI MERI NAZER MEIN AESE LOG DIPLOMATE HOTE HAIN JO GHAR WALO KE LIYE KUCH AUR BAHIR WALO KE LIYE KUCH HOTE HAIN INSAN KO HAMESHA AIK JAISA HONA CHAHIYE.JO ANDER SE HO WAHI BAHIR SE BHI.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment